Bair K Fawaid

Bair K Fawaid

Takhmi k phal gol, guda kam or rang red hota hai. Taste k lihaz se khat mitha hota hai. Pewandi k phal 1, 1.5 inch lambay bezwi shakal k hotay hein. Ye zaiqay mein sheeri hotay hein.
Jhar beri ka darakht ziyada tar banjar zameen par ugta  hai. Is ka zaiqa khatta hota hai. Ye janglo mein kasrat se ugta hai. Is ko jangli bair bhi kehtay hein.
Bair ki ghizai khoobio k silsilay mein sirf itna keh dena hi kafi hoga k ye apple ka hum palla hota hai. Bair maney tishnigi or aanto k keero ko marnay mein mufeed hota hai. Kacha bair bhi faida mand hota hai kiyounkay wo qabiz hota hai. Aanto k zakhmo k liye be had mufeed hai. Bairi k pattay se ubalay hue pani se Musalman murday ko ghusul diya jata hai. Is ka scientific faida ye hai k murday ka jism narm par jata hai or murday ka jism keeray makoron se mehfooz rehta hai.
Bair ki pattio se sar dhonay se girtay hue baal jam jatay hein. Pisi hui pattio ka neem garam laip zakhmo par bandhnay se peep kharij ho jati hai.

bair k fawaid in urdu

bair benefits in urdu

SHARE

www.islaamiwazaif.com

A Website For All Islamic Related Things For Example Islamic Wazaif,Alhadith,Islamic Wallpaper,Quran With English Quran With Urdu Translations,Naats,Namaz,Ramzan,Hajj,Qurani Verses,Download 3D Quran Software,Qurbani,Islamic Months Wazaifs,Masnoon Duas,Others World Country Maps And Flags,Beauty Tips,Fruit Benfits

  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments: