Chiknai K Dagh Door Karnay K tarika

Chiknai K Dagh Door Karnay K tarika

  • Ketchup, chocolate , coco , make up kay daagh dor karnay kay liye dhabbay ko pehlay kisi achay kisam kay taeez liquid detergent say saaf karlain. is say dhabbay ke chiknai saaf ho jae ge. pher pani mein bleach mila kar dhabbay ka neshan saaf karlain. bleach kay use karnay say pehlay cloth kay kisi choppa howay hissay per laga kar yaqeen karlain kay cloth ka colour kharab nahe hota.
  • Blood kay dhabbay saaf karnay hon to cloth ko thanday pani mein dip kardain. pher dhabbay kay upper boorek powder ya amonia aur glessren laga kar 10 min bad wash karlain.
  • Cloths ya bedsheet waghaira per tea ya cold drink gir jae to foran salt dal kar ice mal dain pher wash kar kay press karlain dhabbay khatam ho jae gay.
  • Tea,coffee aur juice kay neshan soap say na wash karin. sirf detergent use karin. agr foree tor per waash karna mumkin na ho to paper ya dry cloth mein jazb kar kay gelay saaf kapray say saaf karlain.
  • Garam kapron kay chiknai kay daagh per dahee laga kar saaf karlain. dhabbay saaf ho jae gay.
  • Lipstick kay neshan per hair spray ka chirkaao karin aur is peer kapray dhonay kay soap ka jhaag lagain aur pher washing powder say wash kar kay foren press karlain.
  • Kapray per silaai kartay waqt jo neshan lagaya jata hay is ko dor karnay kay liye pani taeez garam karin jb bhaap nikalnay lagay to neshan ko samnay rakh kar bhaap dain jis say neshan khatam ho jae ga.
  • Agar jaldi mein chiknai ka daagh saaf karna ho to is per baby powder mal kar press karlain. daagh agr bilkul saaf nahe to halka ho jae ga.
  • Agar resturant mein kapron per kuch gir jae to nepkin ko soda mein dip kar kay neshan saaf karlain.
  • New jeans ko soft karnay kay liye is ko kai martaba wash karin ya pher 1 chotay taslay mein thanda pani aur fabric softner dal kar 12 hours kay liye dip kar dain. new jeans ko hamesha ulta kar kay wash karin takay colour na kharab ho.
SHARE

www.islaamiwazaif.com

A Website For All Islamic Related Things For Example Islamic Wazaif,Alhadith,Islamic Wallpaper,Quran With English Quran With Urdu Translations,Naats,Namaz,Ramzan,Hajj,Qurani Verses,Download 3D Quran Software,Qurbani,Islamic Months Wazaifs,Masnoon Duas,Others World Country Maps And Flags,Beauty Tips,Fruit Benfits

  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments: