Lungs Cancer Symptoms, Risk Factor And Safety Precautions


Lungs Cancer Symptoms, Risk Factor And Safety Precautions

 
www.islaamiwazaif.com

Ladies k muqablay mein gents mein lungs cancer mein mubtala honay ka khatra 250% ziyada hota hai. Taham America mein 1984 mein  har 1 lack afrad mein 586 afrad k muqablay mein ab is cancer ka khatra 981 afrad hogaya hai.
America mein ab bhi lungs cancer har saal 92000 afrad ko mot ki nazar kar deta hai. Prostate cancer se marnay walo ki yearly quantity 30000 se zaid hai.
Lung Cancer K Alamaat:
 Mustaqil khansi rehti hai. Seenay mein dard rehta hai. Pneumonia bar bar hota rehta hai. Kabhi kabhi khansi bohat shiddat ikhtayar kar leti hai.
Lung Cancer Risk Factor:
100 mein se 50 case cigarette noshi k bai's hoti hein. Jo log cigarette nahi peetay magar cigarette peenay walo k qareeb hotay hein inhen bhi ye cancer daboch sakta hai. Rozana 2 packet cigarette peenay walo mein lungs cancer ka khatra ziyada hota hai. Tabkari, Sanati idaro k kachray, fizai aaloodgi or chand deegar awamil is cancer ko parwan charhanay mein important kirdar ada kartay hein.
Hifazati Tadabeer:
Cigarette noshi mukammal tor par tark kar dijiye. Lungs cancer mein sab se ziyada khatarnak baat ye hai k is ki alamaat is waqt zahir hoti hein, jab marz doosray teesray darjay mein dakhil ho chuka hota hai. 

Cause Lung

lung cancer symptoms

symptoms of lung cancer

SHARE

www.islaamiwazaif.com

A Website For All Islamic Related Things For Example Islamic Wazaif,Alhadith,Islamic Wallpaper,Quran With English Quran With Urdu Translations,Naats,Namaz,Ramzan,Hajj,Qurani Verses,Download 3D Quran Software,Qurbani,Islamic Months Wazaifs,Masnoon Duas,Others World Country Maps And Flags,Beauty Tips,Fruit Benfits

  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
    Blogger Comment
    Facebook Comment