Bad Naseeb Kon Hai
Hazrat Abu Saeed Khudri (R.A) say riwayat hai k Nabi Pak (P.B.U.H) nay irshad farmaya:
" Allah Azzawojal kehta hai k jis banday ko may nasihat or tandurusti
bakhshi or rozi may farakhi or kushadgi di or phir 5 saal ki muddat
guzar jaye meray paas na aaye to aesa shakhs mehroom ul qismat or bad
qismat hai."
Tashreeh:Tandurusti or rozi ki
kushadgi Allah ki bohat bari nemat hai. Yeh dono nematein jisay hasil
ho us ko ziyada say ziydada Khuda say taluq jorna chahiye. Or
qolan-o-amlan har tarah say shukar guzar banda banna chahiye. Lekin yeh
nematein pakar 1 din ya 1 hafta ya 1 mahina ya 1 saal nahi balkay paanch
paanch saal tak Khuda k paas yani Baitullah Hajj k liye nahi jata to is
say ziyada mehroomi ki baat kiya hogi. isay janna chahiye k jis nay
isay sehat di hai wo cheen bhi sakta hai. Or jis nay is ko rizq ki
kashaish say nawaza hai usay pal bhar may danay danay ka mohtaj bana
sakta hai. Is sehat or dolat ko ghanimat samjhay or jald az jald
Fareeza-e-Hajj say farigh ho. Maloom nahi ki aainda yeh nematein isay
hasil bhi rahein gi ya nahi.
Blogger Comment
Facebook Comment