Ramzan May Roza Or Taraweeh
Roza Aur Tarawih Ki Fazilat
Hazrat Abu Hurera (R.A) say riwayat hai k Rasool Allah (P.B.U.H) nay irshad farmaya k.
"
Allah Azzawojal nay Ramzan k rozay farz kiye or may nay tumharay liye
Namaz-e-Taraweeh tajweez ki pas jo lag Ramzan may rozay rakhein gay or
Taraweeh parhein gay Iman or ahtasab (Ajar-e-Aakhrat ki niyat) k sath to
wo apnay gunaho say is tarah pak hongay jesay is din jab k wo paida
huway thay gunaho say pak thay."
Tashreeh:-
Hadees may qayam ka lafz aaya hai jis say murad Taraweeh hai. Jo shakhs
momin ho or ajar-e-aakhrat ki niyat say yeh dono kam karay to is k
saray gunah muaaf ho jayengay. Rahay wo gunah jo Huqooq ul Ibad say
mutaliq hein, wo to usi waqt muaaf hongay jab k sahab-e-haq ko us ka haq
lota diya jaye ya wo bakhushi muaaf karday.
Blogger Comment
Facebook Comment