Garma K Fawaid
Garma 1 tasty and healthfull or sarday se qadray sweet fruit hai or several amraz ka natural ilaj bhai hai. Ye kamzor ashab ke liye 1 umda qisam ki ghiza hai. Ghizayat ka natural khazana hai saleh khoon paida karta hai jism mota karta hai.
Urine ruk ruk kar aata ho ya garmi ki waja se rangat gehri zard ya surkh ho to garma k use se sahi ho jata hai balkay gurda ki pathri bhi toot kar kharij ho jati hai. Blood pressure mein bhi is k achay asrat samnay aatay hein. Garma k use se nizam-e-hazam durust ho jata hai. Sozak k baad k asrat garma k use se hamesha k liye khatam ho jatay hein. Jism mein glucose ki kami ko poora karnay mein is ka koi sani nahi.
Badan mein uzlat k sukar or nichor ko tabai karta hai. Is ki 1 khusoosiyat ye bhi hai k safralmodal hai aesay tamam amraz jin ka sabab safra hai garma se faida hota hai. Garma jahan 1 tasty or healthful fruit hai wahan 1 akseeri dawa bahi hai. Jin logo k hath paon jaltay ho jesay aag nikalti hai. Baaz log to winter mein bhi lihaaf mein paon nahi rakh saktay. Aesay log garma ka use rakhein to chand youm mein useful result samnay aayengay.
0 comments:
Post a Comment