Aankhon Ke Halke Tips
Aankhon kay motaliq chand masail ka hal darj zel hain.
1-Neend poori na ho to aankhein surkh honay kay sath sath sooj jati hain aur siyah halqay namodar ho jatay hain lehaza neend hamesha poori lein.
2- Kachay doodh(milk) ka jhag aankhon kay uper nichay lagayein 1/2 ghantay baad dholein yeh rozanah laga nay say Aankhon ke gird siyah halke khatam ho jayein gay.
3-Din mein aik bar apni aankhon par cotton thanday pani mein bhigokar rakhain, thori deir mein aap mehsoos karein gi keh aap ki aankhon ki thakan door ho gayi hai.
4- Aankhon ki soojan door karnay kay liye aalo kay chilay huye tookray aankhon par rakhain.
5- Aankhon kay gird olive oil, almond oil ki aahistah aahistah malish karein aisa karnay say sakoon milay ga.
6-Aankhon ki chamak br-qarar rakhnay kay liye kacha khira(cucumber) kuchal kar is ki do potliyan(malmal kay kapray mein) bana lein phir sidhay leit kar yeh potliyan 15-20 minute tak aankhon par rakhain.
Blogger Comment
Facebook Comment