Falsa Benefits In Urdu

Falsa Benefits In Urdu

 

Falsa mashoor aam phal hai. Falsa jharberi k chotay bair ke barabar hota hai. Ibtida mein sabz or baksa lekin jab gadrata hai to red ho jata  hai or pak kar besakh jeth mein siyahi mail ho jata hia. Is k andar seed bhi hota hai.
Color surkh o siya, phool zard, zaiqa sheeri o tursh, mizaj sard o tar, miqdar khoorak falsa 2 tola se 5 toal post falsa naqoohan 7 masha se 1 tola tak.
Af'aal o istamal mubarrad or qabiz hai. Maqwi dil, maida or jigar hai. Piyas bujhata hai. Garmi ke bukhar, seena o maida or peeshab ki sozish ko mitata hai.
Falsa ka pani nichor kar is se sharbat banatay hein. Ikhtilaj qalb or khafqan ko mufeed hai.
Hararat or piyas ko taskeen deta hia. Is ka rub maida ko qawi karta hai. Lua'ab dar  hone ki waja se post, bekh falsa ka naqoo asar al bol, bol aldm, sozak or diabetes mein use kartay hein.
SHARE

www.islaamiwazaif.com

A Website For All Islamic Related Things For Example Islamic Wazaif,Alhadith,Islamic Wallpaper,Quran With English Quran With Urdu Translations,Naats,Namaz,Ramzan,Hajj,Qurani Verses,Download 3D Quran Software,Qurbani,Islamic Months Wazaifs,Masnoon Duas,Others World Country Maps And Flags,Beauty Tips,Fruit Benfits

  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments: